1. Chot khate hai aur muskrate hai,
is dil ko sabar karna sikhate hai,
hum to gham lekar bi yaad rakhte hai,
aur ek woh hai jo gham...dekar bi bhool jate hai
2. Unki dil-lagi mere dil ki lagi ban gayi
chand khushiyan umar bhar ki sazaa ban gayi
is kadar uski ibaadat ki...
ki uski mohabat mere liye bandagi ban gayi
3. Kab woh jane ge mera haal-e-dil
kai bar samjhaya unhe kyu yu dhadkta hai dil
kash woh is ki aaho ko tham le nai toh
bahut gehri chot khayega mera dil....
4. Jab muje maut aayegi tab ek ashk(Tear)
meri aankhon mein rah jayega
jo umar ka intezar tha muje tera
woh meri aankhon mein hi chala jayega.....
5. Dil ki gehariyon mein jab woh jayenge
tab mere dard ko woh jan payenge
mana kadar na ki unho ne meri mohabat ki par....
ek din woh meri chahat ko taras jayange
6.Is tarah tha kuch uski chahat ka khumar
aankhon mein tha uska hi itebar
dil mein mere this uski mohabat beshumar
kash woh samjh jata ki wohi tha mera pehla pyar....
7. Dil ki tadap hum kaise bayan kare
aankhon ka intezar kaise kam kare
dekhte hai jab auro ko to arman jaag uth te hai
ya khuda yeh masla kaise hal kare
PLZ RATING THEM (***Excellent, ****=Subhan Allah, ***** = Wah Wah !!)